Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

Wednesday, December 1, 2010

mokel kabo karna ki sharayat


As salamu allaiqum

qurani aiyat or isam allah or tamam hurf ka picha mokel he kam karta hai jis ki telawat karna se mokel insan ka kam sir anjam deta hai magar amliyate line main ba mokel amal karna is ko kehta hai ka mokel ko apna samna hazer karna tark_e_jalali wa jamali kar ka or us ko order karna ka hamara yeah kam karo is doran main mokel amel ka samna chai ya khofnak shakel main hazer hota hai or mokel ki pore kushes hote hai ka wo amel ko dara dhamka kar wapious chala jahe q k kohi be arva yeah nahi chate ka wo tabadare karee kisi ki be her kohi azad rehna chata hai jab amel in cheezo ka darna ya dhamkana se nahi darta to yeah cheeza amel ka amal karna se kabo main ah jate hai or phir in ki atat karte hai or ahinda ka liya is ko bolana ka tareka be daryaft kiya jate to wo tareka be khod he batate ha

amal ba mokel karna ka liya tara_e_jalali wa jamali zaroore hai jis tarah amal karte hai to is ko karte howa dehan rakhna be zaroore hai pakizgee taharate ka sath achi kushbo main basa hona chaheya room jis ka chila kiya ja raha hai logo ka ana jana nahi hona chaheya ake alag makan ho jaha per mokelmal sakoon ho mokeleen paki or taharate kushbo ko bohat passand karte hai jisam labas ki paki ka sath kalab wa niyat ki paki be sharat hai kisi najahis khail ko dil main jaga na deen verna rajat hoge


jab amal ba mokel pareen to jis time ko pehla para tha to roz ushe time ko amal kiya kareen taka amal kamyab ho q k ager amal agar waquat per nahi kiya to mokelo ko takleef ho gee or wo chalay jahe ga mokel intazar nahi karte or ager dair hoge to wo chalay jahe ga amel ka wait nahi kareee gay is liya agar amel dair karee ga to us ka amal barbad ho ga or mokel kabo main nahi ahe ga us ka


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com





49 comments:

Anonymous said...

Aslam O Alikum

bohat acchi information ha app ki kia bat ha app ki cha gayee app to
Allah tala app ko iss ki jaza dee Ameen
shamas

Anonymous said...

assalamalekum bhai jaan
mujhay aap mokel ko kabo karey ka tarika bata do plz
Allah hafiz

ASlam said...

ASSALAMOALIKUM SIR,
MAIN aap k blog roz pharta ho main chahta ho aap meri rehumae kare main ilm sekhna chahta ho apne liya aur mokelo se hum kalam hona chahta ho main un k galat istamal nae karoga main bus sirf elm he hasil karoga aur jahiz jaga istmal karo log ki madat karna chahta ho ek normal insan ban k kiya ap meri madat kare ge aap apna number send karde aur mujhe zor jaweb dy yes or no main main aap ka wait karoga

Anonymous said...

Assalam Alaikum Amel Saab,

maine kafi logon se poocha aur khuud bhi dhoondhne ki koshis ki ke muakkel kya hote hain? Kuch ne kaha yeh farishte hote hain kuch ne kaha yeh jin hote hain, kuch ne kaha ke yeh alag hi shay hai jo na farishta hai aur na hi jin....

App pls batayeinge ke yeh muakkel hote kya hai?

Anonymous said...

assalamualequm,


mein mumbai india se hoon.muje

ek aasan amal sikhna hai jisse mein sab ki madat kar sakta hoon.is se

pehle meine ya allah ka amal kiya tha lekin uska maukil nahi aaya.jo hazrat

muje sikha rahe teh unka naam Maqbool Ahmed Siddique hai hafiji

bhi bolte hai unko .aap muje sabse aasan tarika bata dijiye jisse mein

maukil hasil kar sakta hoon bahot time se mein koshih kar raha hoon lekin

nahi ho paya.mein bahot pareshan bhi hoon.aap plz meri madat kijiye.



khudahaffiz

Nadir said...

Aslamoalikum humary opper jado howa tha father black majic ki waja se fout howey phir aik buzarg ne mum ko amel kerwa diye lakin un ki nazer nahi khuli woh buzarg wafaat pa chukey hai Maine un ke baitey se sorah muzamil Aur aik saL pehly sorah akhlas ka amel kiya tha lakin mum ke mowakil ne amel kamzoor ker diya aur kamyabi nahi howi woh nahi chaty ke humari nazer khole aur unhe kam kerna pare ap Ager nazer kholne k mai madad ker sakty hai tu ahsan ho ga ya phir amel kera de jis se nazer kohl jaye may Allah SWT give u gud health and increase ur illam Ameen ap ka number kya hai

Amir said...

PLEASE SIR AAP MUJE AMAL BA MOKEL KA SBAQ BATA DAIN

MY EMAIL ADDRESS
AMIR.RAZZAQ60@YAHOO.COM

hamza said...

ASSALAMA ALIKUM

MAI NE AP KE BLOG PARHE HAI UN MAI SE MAI AP SE 2 SAWAL KARNA CHATA HO

1. NOORI MOKELAT SE KALU GADO KA TOR MAI JO AMEL HAI US KI KAI SHARTE HAI

2. SURAH FATEH KE MOKEL SE JAIEZ KAM LENA IS MAI JB HUM 40 DIN PORE KAR LETE HAI TO YE AMEL HUM KHUD PARH SAKTE HAI US KA KOI NUQSAN TO NAI.KAI HUM KHUD US KO PARH SAKTE HAI
PLEASE IS KA JAWAB JALD DEJEY GA
SHUKRIYA

umair said...

mai ye puchna chata ho ke mere sath esi wardat o kefiyat hoti hai jese meri koi rohani tour per rhenomai ker raha hai mjhy ye hi puchna hai ke ye mere sath hai ya mujhe weham hai ager hai to wo koun hai kia nam hai unka or unka karam ya jo rohani rehnomai ka silsila hai wo kesa hai halka pulka hai ap istajkhra ker ke ya apke jo tareeke hai unse puch ke bata de plz mai apka boht shuker guzar hoga ager meri ye galt fhemi hai to mai isper gur na karo or ager ye haqikat hai to ehtiyat karo ke ye madad rokhna jay to ap mujhe bata ker meri madad kare mai apka boht shuker guzar hoga mai apke jawab ka intizar kar raha ho mujhe umeed hai ke ap mujhe darguzar nahi karege ALLAH apko jazae kher de

Anonymous said...

salam.maine apka blog parha hai jis main apne mokalat se kaam lene k bare main bataya hai.mera sawal yeh hai k kiya koi young larki is amal ko kr sakti hai kiya?aur mohabbat k mamlaat main in mokalaat se madded li ja sakti hai aur agr li ja sakti hai to kis kisam ki madded lay sakte hain?shukriya.

Anonymous said...

AssalamoAlikum
muhtram aamil sab muje moakal qabo karne ka bohat shoaq ha es kelea ma ne mukhtalip kitbo se mukhtalip aamal b ke laken ab tak koi kamyabi nahi hoye ap muje koi ase asan amal ke ejazat da jo ma asani se kar sako. mere duty rotation ma hote ha. 10din morning pir 10 evening ar 10 night.agar amal asa ho jo esha ke namaz ke porn bad kar ke 9 baje tak khatam ho sakta ho 10din kela ya koi dosre tareqe se jo ma duty ke sat kar sako to bohat se acha hoga.
Jazakalllah

zaidi said...

Aasalam walaykum

Main aalif Kay muakul tabayh karna chanta hoon. Aap ki website main kuch
Baat samajh nahi aaee.maharbani Kar Kay rahnumaee furmain

Sukriyaa

Allah hafiz.

Anonymous said...

Assalam-o-alaiykum warahmatullah wb rt.

Amel sahab, mujhe muwakkil ya JIN chahiay jis se mai kaam le sakoon.
aap please koi tareeqa bata dijiay, is ka hadya ya nazrana mai dene ko tayyar hoon.

aman said...

amel sahab
mai muwakkilath pane kakhwahishmand hun. Kya koi aisi padhai bi hai ke wo padhte hi apne kaam fatafat hojayein baghair kisi muwakkilath qhabu me kiye. Kya ap mujhe pakistan me baithe baithe muwakkil de sakte hain. Mai ne apke taqhreeban post padhliye hain. Bahut acha malumath likhe hain apne.

Allah hafiz.

Jawab ka muntazir hun.

raja said...

Aslamo alekum
ma na aaj ap ki webside daikhi ha ma kub sa jin kabu karna chahata hun jo maray jaiz mamlay ma madad karay
par ma aj tak kuch hasil nai ker saka ap ki web daikh ker mujay asa laga k ap mari madad ker saktay ho. ma na soorat fathia
k mokel wala wazifa para mager musla ya ha k maray pass room to ha par recording nai laga sakta kun k sath main uncle ka room ha is liay ma chahta hun k ap mujay koi asaan sa parhnay wala wazifa batay jis sa ma jin kaboo ker sakon.

junaid said...

Assalam-0-Alaikum
Sir mainne app k kaafi blog paray and app ki di howi information bohot hi faidamand hai..
main app ka ek blog ilm-e-mokelat parh raha tha tu mujhe ek sawal aya to socha app se poch lun

Sawal yeh hai k jaise app ne bataya 7 tarah k maukkil hotay hain

Lekin app ne kaheen yeh nahi bataya k kon se maukkil ko kis tareeqay se hasil kiya ja sakta hai mera yahi sawal hai and jawab ka muntazir hun..


Iske ilawa mera sawal ye hai k maine 12 jamaat k imtehaan diye hain jo main 2 saal se de raha hun lekin kamyaab nahi ho pa raha to pochna ye tha k agar mujhe pass hona ho to main appka koi amal istemal kar sakta hun? agar haan tu konsa?? kya ye jaiz hoga??

Jawab ka intezar rahay ga

SHUKRIY

zeeshan said...

Salamu Alaik !

May aap say rohaniyat aur moakilat ko hasil krna seekhna chahta hu. May Allah Ta'ala k qalame pak say rohaniyat hasil kr k preshan haal sehr or bandish zada insanon ki mdad krna chahta hu. Me pehlay baqaidgi say tmam lawazmaat k sath wazaif prhta tha mgr koi ustaad ka sath na honay ki waja say may nay unhen chor diya aur ab sirf panjgana namaz aur jummayraat k din thora zikr kr leta hu. Muje yaqeen hay k aap mjay es mamlay may meri mdad frmaeyngay.

JazakAllah Khair!

Anonymous said...

As-salamualiqum,
i would like to know, we do have 1 bed room apt. and having kids...where every one is sleeping together,and in the living room the guests are sleeping...so if i do have
I-Pod, do i proceds with that.......or should i need a room, and agarbathi..........can you help me there..... and we need no ijazath,for any kind of wazifa,or for mokelath wazifa?

salim said...

salaam amel saheeb i want to do some normaal amaal so need to give zakkat of hurf tajji or not means amaal is ,like without mokel so i have to give zakkat ,and during amaal we cant drink milk plz give ans allah hafeez

muneeb said...

salam sir mujay mokalat kay baray main thori see informaition chaiye main aik mokal qabou kanrna chahta hou plz mujay apna number den or us ka tariqa bee bata dain mujay aik naik mokal qabou karna ho jis say main apni jaiz hajat ho poura karwa sakou ya apnay baray main jan sakou apnay kam kay bara main madad lay sakou sir plz muj say rabta karay main intazar karou ga aap kay reply ka thanks,

muneeb said...

salam sir umeed karta hou theek hou gaye sir mian jin ya mokal qabou karna chahta hou plz mujay kuch batay is kay baray main mujay kia karna ho ga main kam kay leay nahi bus dosti kay leay karna chahta hou ya hamzad kia hay us kay baray main kuch batay

ma said...

Kisi bhi ayat ko kitni baar padney sey woh baa mowakkil hojati hai.

Unknown said...

muja rasjat howa ha iska kia ilag haa..........

khurram said...

bhai mujhe mokal kabo karna sikhay main apka shagird bana chahta ho


bhatti.sahab110@gmail.com

Jazak Allah

Unknown said...

aslam-o-alikum sir mujhey app ka samjanay ka tariqa bauth acha laga hai.sir mera aek sawal hai kay bismillah roz pharnay sa mokil hazir ho sakta hai aur kiya nouksaan poucha sakta hai

Unknown said...

aslam-o-alikum sir main ya jana chhata hoon ka bismillah roz pharnay sa mokil hazir hota hai aur koi nouksaan to nahi pounchta

Unknown said...

asslamualaikum bhai mai ye amel karna chahta hu plz mujh ko ijazat de de.

Unknown said...

assalam elekum

bahot sare log yeh amal karke mokil ko hasil karna chahte hai ..jo amal aap ne uper bataya hai ..wahi karna hoga na..agar jaan ka khatra ya pagal pan na aye ..aise koe bat to nahi..keon ke unki amad daraoni shakloon main hoti hai

Anonymous said...

Har amal ki apni taseer h koi samne aata h darata h jis se pagal hone ya Jaan ka khatra hota h ye aamil pe depand karta h hisar ke andar ya darr kar bahar.. mokil ki 7 kism hoti h koi aasani se kabu hote h or kisi ko peer or bugurg hi kabu kar sakte h koi samne aate h koi nahi.. is liye ye maazak nahi ki mujhe mokil cahiye mujhe jinn cahiye. Jaan ka khatra h. ALLAH ki ibadat karo ALLAH bada Baadsha hai (Allah hu Akbar)

Anonymous said...

kya ek hindu ye kar sakta hai?

Anonymous said...

A.O.A
plz sir ap mghe tareka bhi bta dain

Unknown said...

assalam ally kum,,,,,,mokel hassil krne ka sbse assan tareeka hai k allah se mange..iske liye bs noor paida krna hota hai or mokel allah k hukum se hi aata hai...

Ali said...

Assalamu alaikum. Mujhe ek buzrug ki mazar khwab me nazar aati thi phir in se bat bhi hoti thi khwab me phir real me an in she meri bat nahi hoti an mujhe kya karna chahiye. Plz mujhe aap guide kare

Unknown said...

A.O.A Sir mere Guzaresh ya ha k main Mokal kabu karna chata hun or inshallah is sy koi najaez kam nahi karun ga main ap ki rehnumai hasel karna chahta hun plz kindli mujy btaen mujy kiy karna ho ga main na agy b boht amal kiy han par kisi sy b kam nahi bana so plz m w8 Umair Ali

Unknown said...

assalamu alaikum .janab.
hazrat wala bhai anvar kuch samay pahle 1 mariz ko jiske upar setani asar tha 1 amil k paas le kar gay the waha se wo mariz to thik ho gAya lekin wahan se ane k baad anar bhai ki bivi jo k sahi wa salim thi bimar rahne lagin dokan wa makan k ander din ba din pare shaniya badhti chali gain aur aj halat ye h
k koi kaam pura nhi hota h jab k hum teen bhai aur abbu sare log achi kamai karte h fhir bhi chote se chota kaam hum sab milkar nhi kar pate h aur usi waqt se humari bahne bhi kafi bimar rahti h aur ilaj karne par koi faida bhi nazar nhi ata h
aur ager koi rista bhi atah to foran inkar bhi ho jata h ab ap se ye sawal h k kya us aurat k upar jo khabis tha hame aur hamari '
femili aur humare ghar walon aur karobaar e dakhal andazi kar sakta h ya nhi ager aisa h to iska hal kya h ager nhi tofhir ye kyun ho raha h baray meherbani iska jawab bahot jald dena hum sab basti wale ap k jawab ka intzar kar rahe h faqat wasallam ahle .mishrikh

Unknown said...

assalamoalaikum, hazrat main ba muwaqil amal karna chahta hu to plz mujhe koi asaan amal bataiye jis ke zariye muwaqil kabze main aa sake and aap k paas koi sandooni, pari ya humzaad ke amal hon to barahe karam zaroor irsaal karen aap ki ain nawazish hogi, thanks my mail id is:- bimtmansari@gmail.com

sami said...

Sir mogy b ye amal bats do

Unknown said...

assmualkim

agar mein amal ba muwakil ism e azam kar ta hai aur muwalkil hazir ho kar arabic mein muje se kalm karta to ,to mein us si kalam kasi karo ?

Anonymous said...

Amel shb ma ap sy rehnomai chahta hun.yeh mara cell phone num 03108021514 h.plz plz plz mjh sy rbta krain mjh apke zarorat h.

Unknown said...

Assalam alaikum

Sar main b mokalat ko kabu me karna chata hu mja is ki bohat zarurat hy ap plz mja b mukamal tareeka bata dena its request

Habib ahmad said...

sir mera naam habib ahmad h sir main ap se pochna chahta hun k sorah fateh ke moakil se kaam lene k liay jo mp 3 chalani hoti h is k liay zarori hadayat kaya hain plz bta dain meharbani ho gi main is logon ki help krna chahta hun or mere kuch aisay jaiz kaam hain jo nai ho rahay wo bi haal krna chahta hun

aamir said...

bukal sch

Anonymous said...

assalamu alikum syeda sakeena said
kya moakilat me male hi hote hai ya f-male bhi hote hai ham bhi yeh amal karna chahte hai baraye maher bani agar aap apni tajaveez pesh karen to hamare liye bahter hoga jazakaallah khair

Unknown said...

Ye aik aisa raaz hai jis se hazaron amleen wakif nahin hain sirf kamleen ke irshad ke mutabiq amal kartay rahay aur isi ki taleem dusrom ko detay rahay zayada se zayada kisi sael ke jawab main ye farma detay keh kisi Ayat ya Ism ki zakat sawa lakh hai yani 125000 jo keh 41 din main puri karni hai, is ke siwa ye ilm nahin keh sawa lakh ki tadaad har Ayat ya Ism ki hai aur woh zakat ki kismon main se kis kisam ki zakat hai aya sawa lakh ki zakat ada karnay ke baad is amal se umer bhar ke liye kaam lay saktay hain ya waqti toor par, agar umer bhar ke liye amil ho jaye ga tou har rooz kisi makhsoos tadaad main parhnay ki zaroorat hai ya nahin.
Kisam Awwal: Amil apne naam ke adad ke mutabik 41 din rozana parhay tou woh amal aik dafa kaam de ga, humesha nahin.
For Example: Agar kisi ka naam Asad hai tou us ke naam ke adad 65 hain tou woh 65 baar parhay ga.
(Agar aap ko apne naam ke adad nahin pata tou yahan se phuch saktay hain)

Dusri Kisam: Jo amal parhna ho us ke haroof ki tadad jitni ho utni hazar martaba rozana 41 din parhay tou hamesha ke liye amil ho jaye ga. Amil is ka safe zaban ho jata hai phir ba'waqt-e-zaroorat sirf 1 baar parhna kafi hota hai.
For Example:
Amal = "Ya Wahhabu"
Haroof Ki Tadad = 04
Yani har harf ke badlay 1 hazar parhna howa tou ye tadad bahi 4000

Tesri Kisam: Amal ke jitnay haroof hon, utnay sau (100) martaba rozana parhay. Ye zakat bhi aik hi baar kaam deti hai. Magar kisam awwal se behtar hai.
Example:
Amal = "Ya Wahhabu"
Haroof Ki Tadad = 04
Read = 400 Times

Kisam Charam: Zakat Sagheer: Amal ke qawaed qamri jitnay hon, utnay hi baar rozana parhay, ye zakat amli hai aur moatbar bhi
Example:
"Ya Wahhabu" ke adad qamri hain 14 tou is ko 14 baar hi parhain gey

Kisam Panjam: Zakat Kabeer: Amal ke adad qamri ko haroof-e-amal se zarb do aur hasil zarb ko rozana parho ye zakat sagheer se zayada kawi hai, hamesha ke liye amil ho jaye ga.
Example:
"Ya Wahhabu"
Amal Ke Adad x Haroof Ki Tadad = Zakat Kabeer = 14x4= 56

Kisam Shasham: Zakat Akbar: Amal kabeer ke adad ko phir haroof ki tadad se zarb de kar rozana parhain, ye kabeer se bhi zayada kawi hai keh is Ism ke Mowwakil samnay akar amil se mulakat karain gey.
Amal Kabeer Ke Adad x Haroof Ki Tadad = 56x4 = 224

Kisam Haftam: Zakat Akbaer: Amal akbar ki tadad ko phir haroof ke adad se zarb de kar parhain, ye akbar se bhi zayada kawi hai, is Ism ke Mowakkil khadam ho kar har waqt sath rahain gey.
Example 224 x 4 = 896

Kisam Hashtam: Zakat akbar al-kabaer: ye akhri zakat hai yani amal akbaer ki tadad ko phir haroof ke tadad se zarb de kar parhain is ko kabriat ahmar ya laal spaid kehtay hain.
Example 896 x 4 = 3584
Agar aap zakat ke baray main ab bhi nahin samajh payay aur aap koi amal karna chahtay hain aur kisi Ism ki zakat yani kitni baar parhna hai tou is baray main bhi yahan phuch saktay hain.

bilal said...

sir mai mokal ko kabo karana chta hun hoon ager ap help karay to ho sakta hai sab kuch,, aur is ke taadad kaisay pore karon,,

Anonymous said...

Mjy dosti krni h jin sy

Anonymous said...

Gae plz mujy baee baty ma ak larki hun

Anonymous said...

Plz help me

Unknown said...

Give u r email id

Related Posts